Dwapar Yug Mein, Aryavart Mein.
Hua Dharm Lupt Jab Bhoomi Se.
Swayam, Krishna Ne Updesh Dia Tab.
Kurukshetra ki Bhoomi Se.
Ranbhoomi Mein Yudh Shesh Tha,
Aur, Senaayein Saari Khadi Hui Thi.
Maha-Dhanurdhar Parth ke Mann Mein,
Vyaakulta Kucch Badi Hui Thi.
Madhav ne Phir Kapi-Dhwaja-Rath,
Madhya Mein Laaakar Rok Dia.
Arjun Ne Fir Maun Todkar,
Krishn ko Arpit Shok Kia.
Ke, Mukh Bhi Mera Sookh Raha Hai,
Dhanush Baan Hath Se Chooth Raha.
Vyakul Chintit Hriday Mera,
Andar Hi Andar Toot Raha Hai.
Heyy Krishn-Kanhaiya Murli-Dhar,
Manmohan Mujhko Maarg Dikhao.
Atal-Banvari Dukh-Bhanjan,
Tum Shyaam-Pitambar Maarg Dikhao.
Fir Arjun Krishn Ki Sharan Mein Aaya.
Madhav Ne Parth Ko Marg Dikhaya.
Maha-Bharat Mein Maha-Granth Se,
Phir Manav ka,... Uddhaar Hua.
Phir Maha-Yudh ki Rann Bhumi Mein,
Geeta ka,... Prasaar Hua.
-Written By Milind Panwar
Post a Comment